EID POETRY....!!!!!!

Khat Main Likha Hai Eid Kub Ho Gi
Hum Ko Tarikh Likh Kr Bhijwahain
Chunky Jhagra Tha Is Liya Hum Ny
Likh Diya, Aap Jub Bhi A Jahain
-----------------------------------------------------

Tumhary Chand Sy Chehre Ki Agr Deed Ho Jahy
Qasam Hai Teri Ankhon Ki Hmari Eid Ho Jahy
-----------------------------------------------------

Yah Eid To Phir Sy Laut Kr Hy A Gai 
Jo Bichry Hain Wo Jany Kb Lotain Gy
-----------------------------------------------------

Wo Bat Krny Pr Nahi Mutafik Or Hum
Eid Milny Ki Hsrat Liya Baithy Hain
-----------------------------------------------------

Eid Ka Chand Falak Pe Nazar Aaya Jiz Dam.
Meri Palkon Pe Sitaray Thay Teri Yaadon K
------------------------------------------------------

Is EID Pay Lout K Aa Jana….!
Kuch Yaadein Taza Karni Hain
Kuch Lamhey Morr K Laney Hain
Kuch Taarey Torr K Laney Hain
Wo Bachpan Morr Kar Laana Hai
Is EID Pay Lout K Aa Jana
Ab Dil Ko Dil Ki Dharkan Say,
Phir EID Mubrak Kehna Hai,
Ab Saath Bohat Din Rehna Hai,
Is EID Pay Lout K Aa Jana
-----------------------------------------------------------

Talkhiyaan Barh Gain Jab Zeest Ke Pemaney Mein
Ghol Ke Dard Ke Maron Ne Piya Eid Ka Chand ...!!!
-------------------------------------------------------------

EiD Ka Chaand Tum Ne Daikh Liya ..
Chaand Ki "EID" Ho Gai Hogi ...!!!
------------------------------------------------------------

Dekha Eid Ka ChanD To Mangi Ye Dua RUB Se
De De Tera Sath Eid Ka Tuhfa Samaj Ke ....!!!
-----------------------------------------------------------

Eid Ka Chaand Falak Pe Nazar Aaya Jis Dam
Meri Palkon Pe Sitaray Thay Teri Yaadon K
-----------------------------------------------------------

Kitni Palkon Se Fizaaon Mein Sitarey Tootey
Kitny Afsano Ka Unwaan Bna Eid Ka Chaand ..
-----------------------------------------------------------

Chaak-E-Daman Ko Jo Dekha To Mila EID Ka Chaand,
Apni Tasveer Kahan Bhool Gaya EID Ka Chaand, 

Unke Abroey-KhaMeeda Ki Tarah Teekha Hai, 
Apni Aankhon Mein Barri Der Chubha EID Ka Chaand, 

Door Veeran Baseray Mein Diya Ho Jiase, 
GhaM Ki Deewar Se Dekha To Laga EID Ka Chaand, 

Leke Haalaat Ke Sehraon Mein Aa Jaata Hai, 
Aaj Bhi Haalaat Ki Rangeen Fiza EID Ka Chaand, 

Talkhiyaan Barh Gayin Jab Zeest Ke PaiMaane Mein,
Ghol k Dard Ke Maaron Ne Piya EID Ka Chaand, 

ChashM To Wusat-E-AflaaQ Mein Khoyi, 
Dil Ne Ek Aur Jagah Dhond Liya EID Ka Chaand
-------------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment